Naya Daur
I Koi hamse milne aaya hai Naye khwab dikhane aaya hai Naye wa’de aur da’we lekar Koi neta gali men aaya hai Mzdooron ko kaam milega Insaaf milega mazloomon ko Daulat ki ab baarish hogi Gharibi ka naam na hoga Aman chain ka aalam hoga Sarhad bhi mahfooz rahega Dahshatgard ko takkar dene Ek saahab aisa aayega Asmaan ki bulandi par Is desh ko phir pahunchaayega Aise hi sab wa’de lekar Koi neta gali mein aayaa hai II Zalim aaya zulm mitane Qatil munsif bankar aayaa Aam aadmi ka sahara lekar Ameeron ki hukoomat aaii Rahzan aaya rahbar bankar Fitna naye purane laaya Qaid se baahar mulzim aaya Qaaed ban aiwaan mein aaya Mujrim kuchh is shaan se aaye Be khatar be khauf se aaye Darbaare watan mein jo pahle aaye Kuchh Shaah aur saahab aaye