Posts

Showing posts with the label zulm

Ek sawaal

Ek sawall man mein ataa hai Kaun hai jo hum dono ko Uksata hai ladwata hai Nafrat  ki deewar banakar Door hame kar jata hai kamzor bahut kar jata hai Phir paas tumhare jata hai Aur paas hamare aata hai Jo paas tumhare hota hai Ya paas hamare hota hai Sab loot kar le jata hai Barbaad hamen kar jata hai Barbaad tumhe kar jata hai Muflis hum bhi muflis tum bhi Mushkil se din katte hain Roz sawera hote hi Bazaron mein bikte hain Der raat tak wapas aakar Nidhaal ho kar sote hain Khauf ke saaye mein tum bhi Khauf ke saaye mein hum bhi Sahme sahme rahte hain Ek sawaal man mein ata hai Woh jo hum don ko ladwata hai Pehchaan tumhen bhi hai uski Pehchaan humen bhi hai uski Kyon na hum don milkar Ab use door bhgata hain Is nafrat ki deewar todkar Ek dooje se mil jaate hain Bekhauf subah ke aamad ki Umeed lagaae so jaate hain

Just a thought

Muddai h, mudda'lai h, Qanoon h adaalat hai Sab hain phir kyon watan ki yeh haalat hai Mujrim sadkon pe begunaah qaidkhanon mein Adaalaton mein ab insaaf kahan, haan siyasat hai Qanoon andha tha  ab behra aur gunga bhi hai Ta aj jub nahi gar m ulzimon ko badi raahat hai  Mulzim ki dhoom hai aur mujrim ki dhoom hai Fasaad hai, ismatdari hai aur halaakat hai Naumeed na ho ai Imteyaz, naumeedi kufr hai ke Adaalate uzma mein baqi abhi sama'at hai  

Izhaar_e khayal

Roshni ka nishan mita, har su ab andhera hai  Insaanon ki basti mein dehshat ka basera hai Taarik pasra hai aur aaj ka suraj chhupa hua hai  Chaand taare doob gaye kyun gar hua nahi sawera hai Kya tum bhool gaye bhai jo rishta hai ham donon ka Ek hi chaman ke baasi hain kya tera hai kya mera hai Rahbar hon ya rehzan hon farq nahin ab donon mein Kabhi yehi muhafiz hai aur yehi kabhi lutera hai Nafrat jinka maqsad hai aur dehshat jinka shewa hai Woh jame hain masnad par aur aiwanon mein dera hain