Posts

Showing posts with the label nazm

Bulandi ka safar

Kis qadar taraqqi ne Kar diya maghroor usko aur sabse door usko Jo kabhi yenhi par tha Darmyan hamare tha Pahunch gaya bulandi par Kahkenshan mein taaron ke Baadlon ke bhi oopar Chand ki rafaqat mein Apne ana ki basti mein Haqeeqat hai ki pasti mein Ja basa hai tanha woh Phir suna hai Chahat hai Use laut aane ki Usi veerane basti mein Jise aag lagakar woh Khaak mein mila kar woh Fareb dekar logon ko Manzil ba manzil woh Pahuncha hai bulandi par Lekin us bulandi se Laut kar agar aaya Fareb khurdah basti mein Kaun kahan bacha hoga nahi hoga nahi hoga koi bhi nahi hoga Jo uski aamad par Khushi ke geet gaayega Ta’zeem mein uske phir Apna sar jhukayega Apna dhad jhukayega Bulandi – Height, Maghroor – Arrogant, Darmyan – amidst, Kahkashan – galaxy, rafaaqat – company, Haqeeqat – In fact, Fareb khurda – Cheated, Ta’zeem - Respec

Naya Daur

I Koi hamse milne aaya hai Naye khwab dikhane aaya hai Naye wa’de aur da’we lekar Koi neta gali men aaya hai Mzdooron ko kaam milega Insaaf milega mazloomon ko Daulat ki ab baarish hogi Gharibi ka naam na hoga Aman chain ka aalam hoga Sarhad bhi mahfooz rahega Dahshatgard ko takkar dene Ek saahab aisa aayega Asmaan ki bulandi par Is desh ko phir pahunchaayega Aise hi sab wa’de lekar Koi neta gali mein aayaa hai     II Zalim aaya zulm mitane Qatil munsif bankar aayaa Aam aadmi ka sahara lekar Ameeron ki hukoomat aaii Rahzan aaya rahbar bankar Fitna naye purane laaya Qaid se baahar mulzim aaya  Qaaed ban aiwaan mein aaya Mujrim kuchh is shaan se aaye Be khatar be khauf se aaye Darbaare watan mein jo pahle aaye Kuchh Shaah aur saahab aaye

Wapsi

Watan ki mitti pukarti hai ab chalo wapas chalen Chhod kar sab aisho ishrat ab chao wapas chlen Maal-o daulat ki justaju ne dar badar tujhko kiya Dhundhne ko ghar wo apna ab chalo wapas chlen Ghair ki basti mein  yun kab talak reh paoge Bula raha hai gaon apna ab chalo wapas chlen Tum bhale hi chhod do maalo daulat sab yaheen Maa faqat chahti hai tujhko ab chalo wapas chlen Aaj poorab ki hawa mein khushbuon ka hai payam bahar aai hai watan mein ab chalo wapas chalen Nashad ho ai Imteyaz reh kar watan se door tum Baandh kar bistar tum apna ab chalo wapas chlen