Izhaar_e khayal
Roshni ka nishan mita, har su ab andhera hai
Insaanon ki basti mein dehshat ka basera hai
Taarik pasra hai aur aaj ka suraj chhupa hua hai
Chaand taare doob gaye kyun gar hua nahi sawera hai
Kya tum bhool gaye bhai jo rishta hai ham donon ka
Ek hi chaman ke baasi hain kya tera hai kya mera hai
Rahbar hon ya rehzan hon farq nahin ab donon mein
Kabhi yehi muhafiz hai aur yehi kabhi lutera hai
Nafrat jinka maqsad hai aur dehshat jinka shewa hai
Woh jame hain masnad par aur aiwanon mein dera hain
Comments
Post a Comment