Posts

Showing posts with the label ishq

Ghazal

Nigah-e-yaar mein ab apni qadr kuchh kam hai Auron pe karam ham pe nazar kuchh kam hai Ham bhi furqat me ashkbaar raha karte hain Aghyaar jaante hain unko khabar kuchh kam hai Marne walon ke liye aansu bahata kaun hai Jaane kya daur hai, kyunasar kuch kam hai Abke dafn kiya ek saath sara qabila ham ne Hae kya kije basti men qabr kuchh kam hai Nahin rukta hai ab koi bhi ek pal ke liye Is basti mein laal-o guhar kuchh kam hai Apne haathon se pilaya hai sabko aaj saaqi ne salamat hain sabhi kya  zahar kuchh kam hai? Hai aasman khamosh, kyun zameen chup hai? Imteyaz kuch kahiye, kya bashar kuch kam hai?

khayal

Manzil ki justaju hai aur karvaan hamara Zulmaat bekraan hai aur sail-e ravaan hamara Ho ishq gar haqiqi toh ho raushan raahen Ahle junoon jo hum hon voh mehrbaan hamara Muddat guzar gai hai paida hua na koi Jo phir se geet gaataa Hindustan hamara Parcham buland hoga har suu mere watan ka Hoshyaar ho raha hai ab naujavaan hamara Aao haseen banayen apne chaman ko milkar Saare jahaan se achha ho gulsitaan hamara Pooche koi jo tumse watan hai kahan tumhara Imteyaz tum yeh kehna dil hai jahaan hamara