Naya Daur

I
Koi hamse milne aaya hai
Naye khwab dikhane aaya hai
Naye wa’de aur da’we lekar
Koi neta gali men aaya hai

Mzdooron ko kaam milega
Insaaf milega mazloomon ko
Daulat ki ab baarish hogi
Gharibi ka naam na hoga
Aman chain ka aalam hoga
Sarhad bhi mahfooz rahega
Dahshatgard ko takkar dene
Ek saahab aisa aayega
Asmaan ki bulandi par
Is desh ko phir pahunchaayega
Aise hi sab wa’de lekar
Koi neta gali mein aayaa hai

  

II

Zalim aaya zulm mitane
Qatil munsif bankar aayaa
Aam aadmi ka sahara lekar
Ameeron ki hukoomat aaii
Rahzan aaya rahbar bankar
Fitna naye purane laaya
Qaid se baahar mulzim aaya 
Qaaed ban aiwaan mein aaya
Mujrim kuchh is shaan se aaye
Be khatar be khauf se aaye
Darbaare watan mein jo pahle aaye
Kuchh Shaah aur saahab aaye











Comments

Popular posts from this blog

Book Review - The Broken Ladder

Book Review - India's wars

Book Review - The great Derangement: Climate change and unthinkable by Amitav Ghosh