Alvida
Kal tujhse door chala jaunga
Kisi naye shahr mein
Naye khwabon ka sahara lekar
Zindagi jiye jaunga
Tujhse kal juda hokar
Tere yaadon ke saughaat liye
Naye safar pe nikal jaunga
Aur kabhi tasuvvaraat ki dunya mein
Maazi ke dareeche khol kar
Agar jhankunga
Tumhen paunga
Tumse mahve guftagu hokar
Zere lab tabassum saja kar
Tumhari adaaon pe muskuraaunga
Tere shahr ko alvida keh kar
Tum se bichhadkar
Tanhaai ka ehsaas jab kabhi satayega
Bewajah sunsaan sadak par nikal jaunga
Phir tasuvvar mein ek bazm saja kar
Tumhen mehmaan banaunga
Tumahara saath jab hoga
Haathon me tera haath gar hoga
Raah-e dushwaar phir asaan tar hoga
Kal tere shahr ko alvida keh kar
Jab gham-e rozgar ka muamla hoga
Ajnabi shahr mein log paraye honge
Aur sitam yeh
ke hijr ka mausam hoga
Tumhare yaad ki khalish
Khilwat mein shiddat se sataayegi
Yun toh hujoom hoga har taraf
Par mai akela
Dunya se begaana
Aur deewaana
Tumhen sadaayen dunga
Aur jaise dikhte hain sehraaon mein saraab
Tumhe apne qareeb hi paunga
Aur aisa bhi fareb nazar ka hoga
Jaise sab khwab tha
Hum kabhi judaa hue hi na the
Phir usi khushnuma baagh mein
Usi sabz farsh par baith kar
Mor ke dilkash raqs ka nazaara karenge
Koyal ki kook sunte hue
Suraj mukhi, Gulaab ki khushbuon ko samet lenge
aur is tarah hum saath saath
Milkar waqt ko thamenge
Phir khizaan ka khauf kahan hoga
Hijr ka mausam nahin hoga
Yeh judaai agar haqeeqat hai
Hum tasuvvar mein hi rahenge sadaa
Aur kabhi hum alvidaa kahenge nahi
Phir hum judaa honge nahi
Comments
Post a Comment