Posts

Showing posts with the label Hijr

Alvida

Kal tujhse door chala jaunga Kisi naye shahr mein Naye khwabon ka sahara lekar Zindagi jiye jaunga Tujhse kal juda hokar Tere yaadon ke saughaat liye Naye safar pe nikal jaunga Aur kabhi tasuvvaraat ki dunya mein Maazi ke dareeche khol kar Agar jhankunga Tumhen paunga Tumse mahve guftagu hokar Zere lab tabassum saja kar Tumhari adaaon pe muskuraaunga Tere shahr ko alvida keh kar Tum se bichhadkar Tanhaai ka ehsaas jab kabhi satayeg a Bewajah sunsaan sadak par nikal jaunga Phir tasuvvar mein ek bazm saja kar Tumhen mehmaan banaunga Tumahara saath jab hoga Haathon me tera haath gar hoga Raah-e dushwaar phir asaan tar hoga Kal tere shahr ko alvida keh kar Jab gham-e rozgar ka muamla hoga Ajnabi shahr mein log paraye honge Aur sitam yeh ke hijr ka mausam hoga Tumhare yaad ki khalish  Khilwat mein shiddat se sataayegi Yun toh hujoom hoga har taraf Par mai akela Dunya se begaana Aur deewaana Tumhen sadaayen dun...

Wapsi

Watan ki mitti pukarti hai ab chalo wapas chalen Chhod kar sab aisho ishrat ab chao wapas chlen Maal-o daulat ki justaju ne dar badar tujhko kiya Dhundhne ko ghar wo apna ab chalo wapas chlen Ghair ki basti mein  yun kab talak reh paoge Bula raha hai gaon apna ab chalo wapas chlen Tum bhale hi chhod do maalo daulat sab yaheen Maa faqat chahti hai tujhko ab chalo wapas chlen Aaj poorab ki hawa mein khushbuon ka hai payam bahar aai hai watan mein ab chalo wapas chalen Nashad ho ai Imteyaz reh kar watan se door tum Baandh kar bistar tum apna ab chalo wapas chlen