khayal
Manzil ki justaju hai aur karvaan hamara Zulmaat bekraan hai aur sail-e ravaan hamara Ho ishq gar haqiqi toh ho raushan raahen Ahle junoon jo hum hon voh mehrbaan hamara Muddat guzar gai hai paida hua na koi Jo phir se geet gaataa Hindustan hamara Parcham buland hoga har suu mere watan ka Hoshyaar ho raha hai ab naujavaan hamara Aao haseen banayen apne chaman ko milkar Saare jahaan se achha ho gulsitaan hamara Pooche koi jo tumse watan hai kahan tumhara Imteyaz tum yeh kehna dil hai jahaan hamara