Ek sawaal
Ek sawall man mein ataa hai
Kaun hai jo hum dono ko
Uksata hai ladwata hai
Nafrat ki deewar
banakar
Door hame kar jata hai
kamzor bahut kar jata hai
Phir paas tumhare jata hai
Aur paas hamare aata hai
Jo paas tumhare hota hai
Ya paas hamare hota hai
Sab loot kar le jata hai
Barbaad hamen kar jata hai
Barbaad tumhe kar jata hai
Muflis hum bhi muflis tum bhi
Mushkil se din katte hain
Roz sawera hote hi
Bazaron mein bikte hain
Der raat tak wapas aakar
Nidhaal ho kar sote hain
Khauf ke saaye mein tum bhi
Khauf ke saaye mein hum bhi
Sahme sahme rahte hain
Ek sawaal man mein ata hai
Woh jo hum don ko ladwata hai
Pehchaan tumhen bhi hai uski
Pehchaan humen bhi hai uski
Kyon na hum don milkar
Ab use door bhgata hain
Is nafrat ki deewar todkar
Ek dooje se mil jaate hain
Bekhauf subah ke aamad ki
Umeed lagaae so jaate hain
Comments
Post a Comment