Ghazal
Dyaare ishq kaisa aur Ishq ka maqaam kya
Maaddiyat ke daur mein aagahi se kaam
kya
Shaistagi aur sharafat qadren hui purane sab
Har taraf shor-o ghogha aur tarz-e
kalaam kya
Husn bepardah hua aur ashiqui besabr hui
Bazaar-e hawas ne tai kiya insaan ka daam kya
Yeh kya ghadi hai doston aur yeh
dayar kya
Kaun samjhe kaun jaane Khaas kya aam kya
Ja chuke hain chhod kar ishq ki
mehfil ko woh
Kaun tha kahan gaya poochhte ho naaam
kya
Dayar - territory, region Aagahi - awareness Maqaam - place,occasion Shaistagi - civility Maaddiyat - materialism
Great shayari..
ReplyDeleteThanks a lot sir
Delete