Ghazal

Rang-e bahaar pe kyun khizan ghalib hai
Zemeen past hai kyun asmaan ghalib hai

Kyun har samt ab usi ka charcha hai
Yehan jo zer tha kyun wahan ghalib hai

Shahr-e wafa ki  ab pehchaan reh gai hai
Makeen ghayab hai aur makaan ghalib hai

Daam-e sukhan mei uski sabhi log aa gaye
Woh dilfareb hai uski zabaan ghalib hai

Saudagari nahi yeh hukoomat dilon pe hai
Ek bheed be-mahal hai aur gumaan ghalib hai


Comments

Popular posts from this blog

Book Review - The Broken Ladder

Book Review - India's wars

Book Review - The great Derangement: Climate change and unthinkable by Amitav Ghosh