Ghazal
Dyaare ishq kaisa aur Ishq ka maqaam kya Maaddiyat ke daur mein aagahi se kaam kya Shaistagi aur sharafat qadren hui purane sab Har taraf shor-o ghogha aur tarz-e kalaam kya Husn bepardah hua aur ashiqui besabr hui Bazaar-e hawas ne tai kiya insaan ka daam kya Yeh kya ghadi hai doston aur yeh dayar kya Kaun samjhe kaun jaane Khaas kya aam kya Ja chuke hain chhod kar ishq ki mehfil ko woh Kaun tha kahan gaya poochhte ho naaam kya Dayar - territory, region Aagahi - awareness Maqaam - place,occasion Shaistagi - civility Maaddiyat - materialism