Ghazal
Nigah-e-yaar mein ab apni qadr kuchh kam hai Auron pe karam ham pe nazar kuchh kam hai Ham bhi furqat me ashkbaar raha karte hain Aghyaar jaante hain unko khabar kuchh kam hai Marne walon ke liye aansu bahata kaun hai Jaane kya daur hai, kyunasar kuch kam hai Abke dafn kiya ek saath sara qabila ham ne Hae kya kije basti men qabr kuchh kam hai Nahin rukta hai ab koi bhi ek pal ke liye Is basti mein laal-o guhar kuchh kam hai Apne haathon se pilaya hai sabko aaj saaqi ne salamat hain sabhi kya zahar kuchh kam hai? Hai aasman khamosh, kyun zameen chup hai? Imteyaz kuch kahiye, kya bashar kuch kam hai?