Dastane Safar

Manzil Ki Justaju mein baRhta chala gaya
Dasht-e Junun ki sair mein chalta chala gaya

Ek khwab dekha tha mushkil tareen sa
Mai dewwana, Khwab bunta chala gaya

Ahbab rokte the mushkil ko jaan kar
Mai pur khatar si raah par tanha chala gaya

Aisa nahi ke raah mein thokar nahi mili
Jo raste mein gir paRa to uthta chala gaya

Khtatre hain aur rahenge har ghaRi
Imteyaz hai ke jab ko laRta chala gay


Comments

Popular posts from this blog

Book Review - The Broken Ladder

Book Review - India's wars

Book Review - The great Derangement: Climate change and unthinkable by Amitav Ghosh