Bulandi ka safar

Kis qadar taraqqi ne
Kar diya maghroor usko
aur sabse door usko
Jo kabhi yenhi par tha
Darmyan hamare tha
Pahunch gaya bulandi par
Kahkenshan mein taaron ke
Baadlon ke bhi oopar
Chand ki rafaqat mein
Apne ana ki basti mein
Haqeeqat hai ki pasti mein
Ja basa hai tanha woh

Phir suna hai
Chahat hai
Use laut aane ki
Usi veerane basti mein
Jise aag lagakar woh
Khaak mein mila kar woh
Fareb dekar logon ko
Manzil ba manzil woh
Pahuncha hai bulandi par

Lekin us bulandi se
Laut kar agar aaya
Fareb khurdah basti mein
Kaun kahan bacha hoga
nahi hoga nahi hoga
koi bhi nahi hoga
Jo uski aamad par
Khushi ke geet gaayega
Ta’zeem mein uske phir
Apna sar jhukayega
Apna dhad jhukayega

Bulandi – Height, Maghroor – Arrogant, Darmyan – amidst, Kahkashan – galaxy, rafaaqat – company, Haqeeqat – In fact, Fareb khurda – Cheated, Ta’zeem - Respec

Comments

  1. "بلندی کا سفر" ایک عمدہ نظم ہے. مجھے ایک بہت پرانا شعر یاد آ رہا ہے_
    جوں جوں بلند ہوئےہم پستی نظرپڑی
    ویران جبکہ ہم ہوئے بستی نظر پڑی

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Book Review - The Broken Ladder

Book Review - India's wars

Book Review - The Party Worker by Omar Shahid Hamid