Posts

Showing posts from January, 2013

Wapsi

Watan ki mitti pukarti hai ab chalo wapas chalen Chhod kar sab aisho ishrat ab chao wapas chlen Maal-o daulat ki justaju ne dar badar tujhko kiya Dhundhne ko ghar wo apna ab chalo wapas chlen Ghair ki basti mein  yun kab talak reh paoge Bula raha hai gaon apna ab chalo wapas chlen Tum bhale hi chhod do maalo daulat sab yaheen Maa faqat chahti hai tujhko ab chalo wapas chlen Aaj poorab ki hawa mein khushbuon ka hai payam bahar aai hai watan mein ab chalo wapas chalen Nashad ho ai Imteyaz reh kar watan se door tum Baandh kar bistar tum apna ab chalo wapas chlen

Ghazal

Rewayat-e pareenah kuch yun kho gaya Shab ki tareeki mein jaise din kho gaya Hui aaj muhabbat bebaak is qadar Izhar-e muhabbat ka saleeqa kho gaya Mukhtasar si zindagi is tarah basar hui Taweel safar pe jaise  musafir so gaya Jashn ka silsilah thamta nahi hai yaan Ghareeb-e shahr jabki bhukha mar gaya Tum hue kyon muztarib ai Imteyaz Dost tha jo aaj agar bewafa ho gaya