Posts

Showing posts from March, 2011

Panchayat Election aur hamara Gaon

Jo sunsan aur weeran raha karta hai Us gaon main chunao ka manzar dekho Mahroom hai muddat se jo rahbar ke liye Har ghar se utha hai yehan rahbar dekho sabhi ko hai jeet ka yaqeen-e kaamil Kaun karta hai ab jang yeh sar dekho Daulat ki justaju hai shohrat ki aarzoo hai Mushkil nahi samajhna mazi gar muRkar dekho Lakhon hai panchayat ko milnewala Kiske qabze main ataa hai yeh muqaddar dekho Watan main hon ke hon pardesi Sab ke sab hain us din ke muntazir dekho