Posts

Showing posts from December, 2016

Ek sawaal

Ek sawall man mein ataa hai Kaun hai jo hum dono ko Uksata hai ladwata hai Nafrat  ki deewar banakar Door hame kar jata hai kamzor bahut kar jata hai Phir paas tumhare jata hai Aur paas hamare aata hai Jo paas tumhare hota hai Ya paas hamare hota hai Sab loot kar le jata hai Barbaad hamen kar jata hai Barbaad tumhe kar jata hai Muflis hum bhi muflis tum bhi Mushkil se din katte hain Roz sawera hote hi Bazaron mein bikte hain Der raat tak wapas aakar Nidhaal ho kar sote hain Khauf ke saaye mein tum bhi Khauf ke saaye mein hum bhi Sahme sahme rahte hain Ek sawaal man mein ata hai Woh jo hum don ko ladwata hai Pehchaan tumhen bhi hai uski Pehchaan humen bhi hai uski Kyon na hum don milkar Ab use door bhgata hain Is nafrat ki deewar todkar Ek dooje se mil jaate hain Bekhauf subah ke aamad ki Umeed lagaae so jaate hain