Posts

Showing posts from March, 2016

Ghazal

Dyaare ishq kaisa aur Ishq ka maqaam  kya Maaddiyat ke daur mein aagahi se kaam kya Shaistagi  aur sharafat qadren hui purane sab Har taraf shor-o ghogha aur tarz-e kalaam kya Husn bepardah hua  aur ashiqui  besabr hui Bazaar-e hawas ne tai kiya insaan ka daam kya Yeh kya ghadi hai doston aur yeh dayar kya Kaun samjhe kaun jaane Khaas kya aam kya Ja chuke hain chhod kar ishq ki mehfil ko woh Kaun tha kahan gaya poochhte ho naaam kya Dayar - territory, region Aagahi - awareness Maqaam - place,occasion Shaistagi - civility Maaddiyat - materialism    

Ghazal

Rang-e bahaar pe kyun khizan ghalib hai Zemeen past hai kyun asmaan ghalib hai Kyun har samt ab usi ka charcha hai Yehan jo zer tha kyun wahan ghalib hai Shahr-e wafa ki  ab pehchaan reh gai hai Makeen ghayab hai aur makaan ghalib hai Daam-e sukhan mei uski sabhi log aa gaye Woh dilfareb hai uski zabaan ghalib hai Saudagari nahi yeh hukoomat dilon pe hai Ek bheed be-mahal hai aur gumaan ghalib hai