Ghazal

Rahzan ko jabse hamne rahbar bana diya
Barbadiyon ko apna muqaddar bana diya

Bas itna haadsa hua koi bhook se mara
Adna si baat ka bhi batangar bana diya

Bijli hamare shahr ke hairaan reh gaye
Ghar khaak jab hua use behtar bana diya

Faishan ki tund hawa pahunchi imam tak
Dastaar kholkar use muffler bana diya

Maan ki dua mili aur qismat sanwar gaii
Kamtar mera naseeb tha bartar bana diya

Qalam uske paas tha likhta aman ke geet
Fitna prast adeeb ne nashtar bana diya

Rahzan - lutera, Rahbar - leader Adna- chhota, Tund - tez, Dastar - Pagdi, Adeeb - writer

Comments

Popular posts from this blog

Book Review - The Broken Ladder

Book Review - India's wars

Book Review - The Party Worker by Omar Shahid Hamid