Ghazal


Dyaare ishq kaisa aur Ishq ka maqaam  kya
Maaddiyat ke daur mein aagahi se kaam kya

Shaistagi  aur sharafat qadren hui purane sab
Har taraf shor-o ghogha aur tarz-e kalaam kya

Husn bepardah hua  aur ashiqui  besabr hui
Bazaar-e hawas ne tai kiya insaan ka daam kya

Yeh kya ghadi hai doston aur yeh dayar kya
Kaun samjhe kaun jaane Khaas kya aam kya

Ja chuke hain chhod kar ishq ki mehfil ko woh
Kaun tha kahan gaya poochhte ho naaam kya


Dayar - territory, region Aagahi - awareness Maqaam - place,occasion Shaistagi - civility Maaddiyat - materialism

  

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Book Review - The Broken Ladder

Book Review - India's wars

Book Review - The Party Worker by Omar Shahid Hamid