khayal

Manzil ki justaju hai aur karvaan hamara
Zulmaat bekraan hai aur sail-e ravaan hamara

Ho ishq gar haqiqi toh ho raushan raahen
Ahle junoon jo hum hon voh mehrbaan hamara


Muddat guzar gai hai paida hua na koi
Jo phir se geet gaataa Hindustan hamara


Parcham buland hoga har suu mere watan ka
Hoshyaar ho raha hai ab naujavaan hamara

Aao haseen banayen apne chaman ko milkar
Saare jahaan se achha ho gulsitaan hamara

Pooche koi jo tumse watan hai kahan tumhara
Imteyaz tum yeh kehna dil hai jahaan hamara

Comments

Popular posts from this blog

Book Review - The Broken Ladder

Book Review - India's wars

Book Review - The Party Worker by Omar Shahid Hamid