Ghazal

Nigah-e-yaar mein ab apni qadr kuchh kam hai
Auron pe karam ham pe nazar kuchh kam hai

Ham bhi furqat me ashkbaar raha karte hain
Aghyaar jaante hain unko khabar kuchh kam hai

Marne walon ke liye aansu bahata kaun hai
Jaane kya daur hai, kyunasar kuch kam hai

Abke dafn kiya ek saath sara qabila ham ne
Hae kya kije basti men qabr kuchh kam hai

Nahin rukta hai ab koi bhi ek pal ke liye
Is basti mein laal-o guhar kuchh kam hai

Apne haathon se pilaya hai sabko aaj saaqi ne
salamat hain sabhi kya  zahar kuchh kam hai?

Hai aasman khamosh, kyun zameen chup hai?
Imteyaz kuch kahiye, kya bashar kuch kam hai?

Comments

Popular posts from this blog

Book Review - The Broken Ladder

Book Review - India's wars

Book Review - The Party Worker by Omar Shahid Hamid