Ghazal
Rahzan ko jabse hamne rahbar bana diya Barbadiyon ko apna muqaddar bana diya Bas itna haadsa hua koi bhook se mara Adna si baat ka bhi batangar bana diya Bijli hamare shahr ke hairaan reh gaye Ghar khaak jab hua use behtar bana diya Faishan ki tund hawa pahunchi imam tak Dastaar kholkar use muffler bana diya Maan ki dua mili aur qismat sanwar gaii Kamtar mera naseeb tha bartar bana diya Qalam uske paas tha likhta aman ke geet Fitna prast adeeb ne nashtar bana diya Rahzan - lutera, Rahbar - leader Adna- chhota, Tund - tez, Dastar - Pagdi, Adeeb - writer